ONE MILLION PINS
Date: June 01, 22 | ongoing
‘Care with Dignity’ ke message ko poore desh tak pahuchane ke liye Khud se Pooche ne Pass the Pin campaign shuru ki hai. Iske through hum ‘dignified healthcare’ ke liye One Million Pins collect kar rahe hain. Humare ambassadors aur volunteers ke sath humne bihar ki kayi areas mein aur social media par humari campaign ka message sab tak pahucha rahe hain aur unhein mahilaon ke swasthya mein samman ke liye aware kar rahe hain.
hero image

ONE MILLION PINS:

Collecting 
One Million Pins
in support of
Dignified Healthcare                 


 

2022 mein humne One Million Pins collect karne ki shuruvat ki. Har ek pin ek awaaz hai. Mahilaon ko Dignified Healthcare paane ka ek zariya hai.

Dignified healthcare ka matlab hai: 
1. Respectful, private aur safe health service milna

2. Gender, caste, religion ya marriage status ke basis par discrimination na hona

3. Har mahila ko choose karne ka right milna

Mahilaon ke dignified healthcare ko support karne ke liye pin ko pass karein aur humein One million safety pin collect karne mein madad karein.

#KhudSePooche #OneMillionPins



1 Pin = 1 awaz jo ki support karti hai women ki dignified healthcare ko

Passing the Pin = Pin pass kar ap isko apna support dete hain aur acknowledge karte hain ki mahilaon ko problems face karni padti hai

 

1 Million Pins = One million pins ka matlab hai 1 million voices jo ki support karti hain dignified healthcare ko